lyrics of hindi bollywoood songs

Showing posts with label Sohail Sen. Show all posts

Saturday, 2 September 2017

Banjaara, Movie : Ek Tha Tiger

No comments :
Song : Banjaara,  
Movie : Ek Tha TigerMusic : Sohail Sen
lyrics : Neelesh Misra
Singers : Sukhwinder Singh
Banjara banjara...
Dil mera banjaara
Dekha jabse usko dil mera dil mera banjaara
Naa jaga naa soya dil mera dil mera banjaara
Jo muskaraaye woh, Sab kuch bhulaye woh
Dekho bhatak ke aaye dil Banjaara0
Banjara banjaara uski dhun me dil banjaara
Banjara banjaara uski dhun me dil banjaara

Leharaake dil se guzarti hai woh
Leharaake dil se guzarti hai woh
Jaane kya khit-pit karti hai woh
Ho hans de to ude dil me hai titliyan
Be-mausam gire hum pe hain bijliyaan
Uss pe ye dil aa aake haara
Banjara banjara uski dhun me dil banjaara
Banjara banjara uski dhun me dil banjaara

Ho ho...
Baaton me uski jaadugari
Ho... baaton me uski jadugari
Nigaahon me uske hai kaarigari
Ho saikadon khwaab uspe hain kharcha kiye
Phir bhi milne ko har roz tarsa kiye
Kehde toh chhod du main ye jag saara
Banjara banjaara uski dhun me dil banjara
Banjara banjaara uski dhun me dil banjara

Lapata, Movie : EK Tha Tiger

No comments :
Song : Lapata,  
Movie : EK Tha TigerMusic : Sohail Sen
lyrics : Anvita Dutt Guptan
Singers : KK, Palak Muchhal
Aankhon ko yun band karke 
Dheeme dheeme gin gin ke
Dhundo humein, hum hain kahaan?
Ho bhoole se fasaane hain
Zameen se begaane hain
Dekho huey hum to hawaa

Dil ke kinare, khwaabon ke neeche
Hai khoya khoya apna jahaan
Main laapata aa aa... tu laapata...
Hosh o hawaas hai laapata

Haan ye zidd hai meri
Tujhko hi sochenge ab hum
Roshni ye teri khwaabon mein rakhenge band hum
Haan subaha kab soyi? taare kab jaage?
Hum bhoole hain ki kab kya huaa
Main laapata aa aa… tu laapata...
Hosh o hawaas hai laapata

O O...
Le rahe thhe saansein
Zinda nahi the kabhi hum
Dil ye tujhko de ke
Dhadkan se waaqif huey hum
Haa tujh mein hi gum hain
Tujh mein hi khoye
Ab dar se tere jaana kahaan?
Main laapata aa... tu laapata...
Hosh o hawaas hai laapata

Saiyaara, Movie : Ek Tha Tiger

No comments :
Song : Saiyaara,  
Movie : Ek Tha TigerMusic : Sohail Sen
lyrics : Kausar Munir
Singers : Mohit Chauhan
Aasmaan tera mera hua
Khwaab ki tarah dhuaan dhuaan
Aasmaan tera mera hua
Saans ki tarah ruaan ruaan

Ho jaaye jahaan tu jaaye
Paaye mujhe hi paaye
Saaye ye mere hain tujh mein samaaye

Saiyaara main saiyaara, Saiyaara tu saiyaara
Sitaaron ke jahaan mein milenge abb yaara [x2]

Tu jo mila toh yun hua
Ho gayi poori adhoori si duaa
Tu jo gaya, toh le gaya sang tere 
Mere jeene ki har wajah

Ho jaaye jahaan tu jaaye
Paaye mujhe hi paaye
Saaye ye mere hain tujh mein samaaye

Saiyaara main saiyaara, Saiyaara tu saiyaara
Sitaaron ke jahaan mein milenge abb yaara [x2]

Tumpe miti tumse bani
Tumse hua hai haan khud pe yaqeen
Tu jo nahi to naa sahi
Main hoon yahaan toh tu hai yahin kahin

Ho jaaye jahaan tu jaaye
Paaye mujhe hi paaye
Saaye ye mere hain tujh mein samaaye

Saiyaara main saiyaara, Saiyaara tu saiyaara
Sitaaron ke jahaan mein milenge abb yaara [x2]