Friday, 24 August 2018
Dukh Dard Se Jag Mein Lyrics - Humjoli (1946)
Movie/album: Humjoli (1946)
Singers: Noor Jehan
Song Lyricists: Anjum Pilibhiti
Music Composer: Hafiz Khan
Music Director: Hafiz Khan
Music Label: Columbia Records
Starring: Noorjahan Zahoor Raja, Jairaj, Agha, Mukri, Jillo, Gulam Mohd
Dukh Dard Se Jag Mein Song Lyrics
Dukh dard se jag mein
Koi aazad nahi hai
Dukh dard se jag mein
Koi aazad nahi hai
Meri tarha lekin koi
Barbaad nahi hai
Barbaad nahi hai
Dukh dard se jag mein
Koi aazad nahi hai
Dil khoon huwa jaan huyi
Gham ka nishaana
Dil khoon huwa jaan huyi
Gham ka nishaana
Raste ka pata hai na hai
Manzil ka thhikaana
Raste ka pata hai na hai
Manzil ka thhikaana
Dukh dard ke maron se na
Kuchh puchh aye duniya
Gham itne uthhaye ke
Khushi yaad nahi hai
Khushi yaad nahi hai
Dukh dard se jag mein
Koi aazad nahi hai
Dhanwaalo gharibon ki
Hansi aaj udaa lo
Dhanwaalo gharibon ki
Hansi aaj udaa lo
Aur parde mein daulat ke
Gunaahon ko chhupaa lo
Aur parde mein daulat ke
Gunaahon ko chhupaa lo
Kal tum bhi hamaari
Taraha fariyaad karoge
Aur hum yeh kahenge ke
Ye fariyaad nahin hai
Fariyaad nahin hai
Dukh dard se jag mein
Koi aazad nahi hai.
No comments :
Post a Comment