lyrics of hindi bollywoood songs

Friday, 24 August 2018

Jaate Huye Yeh Pal Chin Lyrics - Ankhiyon Ke Jharokhon Se (1978)

No comments :




Movie/album: Ankhiyon Ke Jharokhon Se (1978)

Singers: Ravindra Jain

Song Lyricists: Ravindra Jain

Music Composer: Ravindra Jain

Music Director: Ravindra Jain

Director: Hiren Nag

Music Label: Ultra Music

Starring: Sachin, Ranjeeta Kaur, Iftekhar, Urmila Bhatt

Release on: 7th April, 1978


Jaate Huye Yeh Pal Chin Song Lyrics


Jate huye yeh pal chhin kyo jeevan liye jate
Jate huye yeh pal chhin kyo jeevan liye jate
Jode yahi jode yahi tode sab nate
Jate huye yeh pal chhin kyo jeevan liye jate

Mann jitna jina chahe, tan utana hee marta jayey
Insan kee himakat dekho umid hee karta jayey
Koyi rah manjil kee kahee tujhe toh batlaye
Jate huye yeh pal chhin kyo jeevan liye jate

Rang aur sugandh kaa jadu sadiyo se chalta aaya
Insan inhi mein duba nadan yahi bharmaya
Abb kaun yeh soche kya khoya aur kya paya
Jate huye yeh pal chhin kyo jeevan liye jate

Vishwas mein was hai wish kaa
Asha mein chhupi hain nirasha
Shabdo ke sang naa behna hain
Shart bhari har bhasha
Insan kaa dil bhi pathhar sa jayey tarasha
Jate huye yeh pal chhin kyo jeevan liye jate
Jode yahi jode yahi tode sab nate
Jate huye yeh pal chhin kyo jeevan liye jate
Kyo jeevan liye jate
Kyo jeevan liye jate.


No comments :

Post a Comment