Saturday, 18 August 2018
Karwaten Badalte Rahe Lyrics - Aap Ki Kasam (1974)
Movie/album: Aap Ki Kasam (1974)
Singers: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Song Lyricists: Anand Bakshi
Music Composer: Rahul Dev Burman
Music Director: Rahul Dev Burman
Director: J. Om Prakash
Music Label: Saregama
Starring: Rajesh Khanna, Mumtaz, Sanjeev Kumar, Ranjeet, A.K. Hangal, Asrani
Release on: 17th April, 1974
Karwaten Badalte Rahe Song Lyrics
Karvatein badalte rahe sari rat ham
Karvatein badalte rahe sari rat ham, aap ki kasam, aap ki kasam
Gham na karo din judaayi ke bahut hain kum, aap ki kasam, aap ki kasam
Yad tum aate rahe ek huk si uthti rahi
Nind mujhse, nind se main bhaagati chhupti rahi
Rat bhar bairan nigodi chandni chubhti rahi
Aag si jalti rahi girti rahi shabnam, aap ki kasam
Jheel si aankho mein aashiq dubke kho jayega
Julf ke saye mein dil arman bhara so jayega
Tum chale jao nahi to kuchh na kuchh ho jayega
Dagmaga jayenge aise hal mein kadam, aap ki kasam
Ruth jayen ham to tum hamko mana lena sanam
Dur hon to pas hamko tum bula lena sanam
Kuchh gila ho to gale hamko laga lena sanam
Toot na jaye kabhi yeh pyar ki kasam, aap ki kasam.
No comments :
Post a Comment