Saturday, 18 August 2018
Mujhe Teri Mohabbat Ka Lyrics - Aap Aye Bahaar Ayee (1971)
Movie/album: Aap Aye Bahaar Ayee (1971)
Singers: Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Song Lyricists: Anand Bakshi
Music Composer: Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Director: Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Director: Mohan Kumar
Music Label: Saregama
Starring: Rajendra Kumar, Sadhana, Prem Chopra
Release on: 5th July, 1971
Mujhe Teri Mohabbat Ka Song Lyrics
Dilshad tha ke phul
Khilenge bahar mein
Mara gaya garib isi aitbar mein
Mujhe teri mohabbat ka
Sahara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
Sahara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
Sahara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
Sahara mil gaya hota
Na tha manzur kismat
Ko na thi marzi baharo ki
Nahi to is gulistan mein
Nahi to is gulistan mein
Kami thi kya nazaro ki
Meri nazaro ko bhi koi
Nazara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
Sahara mil gaya hota
Khushi se apni aankho ko
Main ashko se bhigon leta
Mere badle tu has legi
Mere badle tu has legi
Tere badle main ro leta
Mujhe ae kash tera dard
Sara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
Sahara mil gaya hota
Mili hai chandni din ko
Yeh unki apni kismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se
Faqat itni shikayat hai
Mujhe tuta hua koi
Sitara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
Sahara mil gaya hota.
No comments :
Post a Comment