Sunday, 19 August 2018
Zameen Kagaz Ki Ban Jaye Lyrics - Aas Ka Panchhi (1961)
Movie/album: Aas Ka Panchhi (1961)
Singers: Mohammed Rafi
Song Lyricists: Hasrat Jaipuri
Music Composer: Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Director: Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Director: Mohan Kumar
Music Label: Saregama
Starring: Rajendra Kumar, Vyjayanthimala
Release on: 1st January, 1961
Zameen Kagaz Ki Ban Jaye Song Lyrics
Zameen kagaz ki ban jaye
Samundar roshanayi ka
Baya phir bhi na hoga
Hamase yeh kissa judayi ka
Char dino ki chhutti hai
Aur unse ja kar milna hai
Jis mangne dil ko mang liya
Jis mangne dil ko mang liya
Us mang me tare bharana hai
Char dino ki chhutti hai
Aur unse ja kar milna hai
Jis mangne dil ko mang
Liya us mang me tare bharana hai
Dil apna abhi se dhadke
Hai dekhenge unhe toh kya hoga
Ham hosh bhi apne kho denge
Masti se bhara jalawa hoga
Dil apna abhi se dhadke hai
Dekhenge unhe toh kya hoga
Ham hosh bhi apne kho denge
Masti se bhara jalawa hoga
Wah samane ho phir aaye maza
Kuchh kehna hai kuchh sunana hai
Woh bhi toh hamari raho me
Zulfo ko sanware aayenge
Aur phul chameli ke gajre
Khush ho ke hame pahanayenge
Abb chand ki tarah chamakana
Hai suraj ki tarah se nikalana hai
Abb char dino ki chhutti hai
Aur unse ja kar milna hai
Aankho me jawan shikwe honge
Hontho pe hansi laharayegi
Saagar se milegi jab nadiya
Tufan pe raunak aayegi
Aankho me jawan shikwe honge
Hontho pe hansi laharayegi
Saagar se milegi jab nadiya
Tufan pe raunak aayegi
Abb badal banake barasana hai
Maujo ki tarah se ubharana hai
Wah hamse kahenge sharamaake
Parades gaye the kya laye
Ham unse kahenge jane jahan
Dil apna bacha ke le aaye
Abb aankh milao bat karo
Ham samane hain kya padra hai
Abb char dino ki chhutti hai
Aur unse ja kar milna hai
Jis mangne dil ko mang liya
Jis mangne dil ko mang liya
Us mang me tare bharana hai
Char dino ki chhutti hai aur
Unse ja kar milna hai
Jis mangne dil ko mang liya
Us mang me tare bharana hai.
No comments :
Post a Comment