Monday, 29 October 2018
Kaise Baje Dil Ke Sitaar Lyrics - Chandni Raat (1949)
Movie/album: Chandni Raat (1949)
Singers: Mohammed Rafi, Shamshad Begum
Song Lyricists: Shakeel Badayuni
Music Composer: Naushad Ali
Music Director: Naushad Ali
Director: M. Ehsan
Music Label: Saregama
Starring: Shyam, Naseem Banu, Noor Jehan, Ulhas, Cuckoo, David Abraham, Jillo, Parveen, Sayeeda Khan
Kaise Baje Dil Ke Sitaar Song Lyrics
Nigaahen ruk gayin haaye kahaan par
Tadap kar reh gaya naghma zubaan par
Dhuan sa uth raha hai aasman par
Giri bijli kisi ke aashiyaan par
Kaise baje dil ka sitaar
Thhes lagi toot gaye taar
Jeeta hua jeewan ka pyaar
Haaye koyi aaj gaya haar
Dil kahin aawaz kahin
Naghma kahin saaz kahin
Dil kahin aawaz kahin
Naghma kahin saaz kahin
Dekh ye ghabraayi nazar a a a a
Dekh ye ghabraayi nazar a a a a
Khol na de raaz kahin
Khol na de raaz kahin o o o
Aaj kahe dil baar baar
Naiya meri kaise lage paar
Dil mein chhupaaye huye gham
Kaise rahoon reh na sakoon
Tut pade mujh pe sitam
Aur main kuchh keh na sakoon
Dil mein chhupaaye huye gham
Kaise rahoon reh na sakoon
Tut pade mujh pe sitam
Aur main kuchh keh na sakoon o o o
Geet mein hai dil ki pukaar
Gaaye ja tu saajan ke dwaar.
No comments :
Post a Comment