lyrics of hindi bollywoood songs

Sunday 18 November 2018

Aahista Aahista OST Title Songs Lyrics Hum TV

No comments :



OST. Aahista Aahista
Singer  Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics  Sabir Zafar
Directed By. Haseeb Hassan
Channel Hum TV


Ye saans to chal rahi hai ab tak
Magar meri zindagi kahan hai
Yeh saan to chal rahi hai ab tak
Magar meri zindagi kahan hai
Naa janay kesi khata hui hai
K ik shikanjay main meri jaan hai
Nikal jaye gi jaan Aahista Aahista

Aahista Aahista, aahista aahista..

Zuban kat ti hai is nagar main
Yahan koi jo zuban kholay
Hai kon mera kissy se bolo
K mere haq main wo aa k bolay
Jahan bhi jaao jisey bhi dekho
Wo is sitamgar ka tarjuman hai
Na janya kesi khata hui hai
K ik shikanjay main meri jaan hai
Nikal jaye gi jaan Aahista Aahista

Aahista aahista, aahista aahista..

Yeh kaisi qurbat ki aag hai jo
Wujood mera jala rahi hai
Jo mere hissay main raat aai
Paraye sapne dikha rahi hai
Ho na rastay hain na manzilain hain
Na humsafar mujh per meherban hai
Naa janay kesi khata hui hai
K ik shikanjay main meri jaan hai
Nikal jaye gi jaan Aahista Aahista

Aahista Aahista, aahista aahista

Yeh ishq bacha yeh ishq mamta
Yeh askh hai jo nahi hai thamta
Gaya nahi meri zindagi say
Jo pehle din ik khata ka gham tha
Ho na koi aghaz na hai anjaam
Yahi to meri dastan hai
Naa janay kesi khata hui hai
K ik shikanjay main meri jaan hai
Nikal jaye gi jaan Aahista Aahista

  Aahista Aahista, Aahista aahista..!!!


No comments :

Post a Comment