lyrics of hindi bollywoood songs

Sunday, 11 November 2018

Yeh Duniya Kaisi Hai Bhagwan Lyrics - Deewana (1952)

No comments :




Movie/album: Deewana (1952)

Singers: Hridaynath Mangeshkar

Song Lyricists: Shakeel Badayuni

Music Composer: Naushad Ali

Music Director: Naushad Ali

Director: Abdul Rashid Kardar

Music Label: Saregama

Starring: Suresh Kumar, Suraiya, Sumitra Devi, Shyam Kumar


Yeh Duniya Kaisi Hai Bhagwan Song Lyrics


Yeh duniya kaisi hai bhagwan,
Jahan mar mar jiye insan

Kahene do tum aaj mujhe,
Afsana ek dukhiyaree ka
Jis key bhole mann mein
Ek din laga tir shikaree ka
Pyar huwa dono mein phir bhee,
Nikle nahee arman
Yeh duniya kaisi



Dip khushee key bujh gaye jal key,
Lag gayee aag jawanee mein
Jag wale ne jeher milaya,
Pyar key mithe panee mein
Bichhad gaya, bichhad gaya
Naiyya se khiwaiya,
Aaya woh tufan
Yeh duniya kaisi

Padee hai uss bekas kee naiyya,
Abb tak gham key dhare peh
Chhod jise bedard khiwaiya,
Pahuncha aap kinare peh
Char dino me pyar kee kasme,
Bhul gaya nadan
Yeh duniya kaisi

Rotee hai din rat woh birhan,
Yaad men pyare sajan kee
O malik insaf toh kar,
Kya rit yahee hai jivan kee
Lut key ek nirdhan kee duniya,
Mouj kare dhanwan
Yeh duniya kaisi.


No comments :

Post a Comment