lyrics of hindi bollywoood songs

Thursday 6 December 2018

Main Aashiq Hu Baharo Ka (Title) Lyrics - Aashiq (1962)

No comments :




Movie/album: Aashiq (1962)

Singers: Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Song Lyricists: Shahryar (Akhlaq Mohammed Khan)

Music Composer: Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Music Director: Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Director: Hrishikesh Mukherjee

Music Label: Saregama

Starring: Raj Kapoor, Nanda, Padmini


Main Aashiq Hu Baharo Ka (Title) Song Lyrics


Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron kaa
Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron kaa
Main mastaana musaafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron kaa
Main aashiq hoon bahaaron ka

Sadiyon se jag mein aata raha main
Naye rang jeewan me laata raha main
Har ek des me nit naye bhesh me
Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron kaa
Main mastaana musaafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron kaa
Main aashiq hoon bahaaron ka



Kabhi maine hanske deepak jalaaye
Kabhi banke baadal aansoo bahaaye
Mere rastaa pyaar ka raasta
Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron kaa
Main mastaana musaafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron kaa
Main aashiq hoon bahaaron ka

Chala gar safar ko koi besahaara
To main ho liya sang liye ektaara
Gaata hua kuchh bhulaata hua
Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron kaa
Main mastaana musaafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron kaa
Main aashiq hoon bahaaron ka.


No comments :

Post a Comment