lyrics of hindi bollywoood songs

Sunday, 2 December 2018

Nain Milakar Chain Churana Lyrics - Aamne Saamne (1967)

No comments :




Movie/album: Aamne Saamne (1967)

Singers: Mohammed Rafi

Song Lyricists: Anand Bakshi

Music Composer: Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah

Music Director: Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah

Director: Suraj Prakash

Music Label: Saregama

Starring: Shashi Kapoor, Sharmila Tagore, Prem Chopra


Nain Milakar Chain Churana Song Lyrics


Nain milakar chain churana
Kiska hai yeh kaam
Are humse poocho
Humko pata hai
Us zaalim ka naam

Nain milakar chain churana
Kiska hai yeh kaam
Are humse poocho
Humko pata hai
Us zaalim ka naam

Woh aaya to kho gayi
Yeh saari mehfil
Woh aaya to kho gayi
Yeh saari mehfil
Dekha is andaz se
Sabko baithe dil
Thoda sa woh maherbaan
Thoda sa qaatil
Thoda sa woh maherbaan
Thoda sa qaatil

Woh jiski har ek ada par
Laakhon hain ilzaam
Woh jiski har ek ada par
Laakhon hain ilzaam
Humse poocho humko pata hai
Us zaalim ka naam
Nain milakar chain churana
Kiska hai yeh kaam
Are humse poocho
Humko pata hai
Us zaalim ka naam

Kiska gussa hai bhala
Jispe aaye pyar
Kiska gussa hai bhala
Jispe aaye pyar
Aisa dushman haaye re
Jisko samjhe yaar

Socho to woh kaun hai
Sharmeela dildar
Socho to woh kaun hai
Sharmeela dildar
Jiski mast nasheeli nazarein
Aisi jaise jaam
Jiski mast nasheeli nazarein
Aisi jaise jaam
Nain milakar chain churana
Kiska hai yeh kaam
Are humse poocho
Humko pata hai
Us zaalim ka naam

Jaagi jaagi si zara
Kuch soyi soyi
Jaagi jaagi si zara
Kuch soyi soyi
Aankhen bhi us shokh ki
Hain khoyi khoyi
Shola hai woh phool hai
Ya sapna koyi
Shola hai woh phool hai
Ya sapna koyi

Jiski khaatir koyi bhi
Ho sakta hai badnaam
Jiski khaatir koyi bhi
Ho sakta hai badnaam
Are humse poocho humko pata hai
Us zaalim ka naam
Nain milakar chain churana
Kiska hai yeh kaam
Humse poocho humko pata hai
Us zaalim ka naam.


No comments :

Post a Comment