Monday, 14 January 2019
Dil Dhadke Nazar Lyrics - Albela (1951)
Movie/album: Albela (1951)
Singers: Lata Mangeshkar
Song Lyricists: Rajendra Krishan
Music Composer: Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Music Director: Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Director: Bhagwan Dada
Music Label: Saregama Music
Starring: Bhagwan Dada, Geeta Bali
Release on: 4th April, 1951
Dil Dhadke Nazar Song Lyrics
Dil dhadke nazar sharmaye
Dil dhadke nazar sharmaye
To samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya
Dil dhadke nazar sharmaye
To samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya
Raaton ko neend na aaye
To samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya
O ankhiyan dil ko sapne dekhe paagal manwa dole
O meetha meetha dard uthe jab dil mein haule haule
Aur yaad kisi ki aaye, jiya bhar aaye
To samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya
Dil dhadke nazar sharmaye
To samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya
Chupke chupke mann mein laage armaanon ka mela
Koi kisi ki yaad mein dooba baitha rahe akela
Chupke chupke mann mein laage armaanon ka mela
Koi kisi ki yaad mein dooba baitha rahe akela
Tasveer si ik ban jaaye, nazar na aaye
To samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya
Dil dhadke nazar sharmaye
To samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya.
No comments :
Post a Comment