Wednesday, 6 February 2019
Chand Aasmano Se Laapata Lyrics - Alone (2015)
Movie/album: Alone (2015)
Singers: Bhaven Dhanak
Song Lyricists: Sandeep Nath
Music Composer: Jeet Ganguly
Music Director: Jeet Ganguly
Director: Bhushan Patel
Music Label: T-Series
Starring: Karan Singh Grover, Bipasha Basu, Zakir Hussain
Release on: 16th January, 2015
Chand Aasmano Se Laapata Song Lyrics
Chand aasmano se laapata ho gaya
Chal ke mere ghar mein aa gaya, aa gaya
Main khush-kismat hoon bakhuda iss tarah
Ho jaaye poori ik duaa jis tarah
Tere bin meri jaana kabhi
Ik pal bhi guzaara nahi
Teri aarzoo ne khud se begana kar diya
Chaand aasmano se lapata ho gaya
Chal ke mere ghar mein aa gaya, aa gaya
Maine tujhe tohfe mein ye dil diya
Tune mujhe badle mein ye jahaan diya
Main hi jaanu, tu hi jaane jo hai darmiyaan
Tujh se hai meri jaana ghar ye aashiyaan..
Tere bin meri jaana kabhi
Ik pal bhi guzaara nahi
Teri aarzoo ne khud se begana kar diya
Chand aasmano se lapata ho gaya
Chalke mere ghar mein aa gaya, aa gaya
Tune mere raaston ko manzil kiya
Tujhe paake zindagi ko haasil kiya
Tere liye hai ye saansein, tay kar liya
Tu hai toh hai ye kahaani, mere saathiya
Tere bin meri jaana kabhi
Ik pal bhi guzaara nahi
Teri aarzoo ne khud se begana kar diya
Chand aasmano se lapata ho gaya
Chalke mere ghar mein aa gaya, aa gaya.
No comments :
Post a Comment