Friday, 14 June 2019
Ansoon Bahane Wale Lyrics - Badal (1951)
Ansoon Bahane Wale Lyrics - Badal (1951)
Movie/album: Badal (1951)
Singers: Lata Mangeshkar
Song Lyricists: Hasrat Jaipuri
Music Composer: Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Director: Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Director: Amiya Chakrabarty
Music Label: Saregama
Starring: Madhubala, Prem Nath, Purnima
Ansoon Bahane Wale Song Lyrics
Duniya badal rahi hai
Ansoon bahane wale
Ansoon bahane wale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale
Dil mera tujh se bole
Aansu bana le shole
Dil mera tujh se bole
Aansu bana le shole
Ummeed ki kiran se
Ye dil ka daag dho le
In gam ki aandhiyon mein
Man ke diye jala le
Ansoon bahane wale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale
Ab door kar andhera
Chamakega phir savera
Ab door kar andhera
Chamakega phir savera
Tujhase nazar mila kar
Bhar aaya dil bhi mera
Ujadi jawaaniyon se
Bigadi ko tu bana le
Aansu bahaane waale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale
Tu bhi to ab badal ja
Ye waqt hai sambhal ja
Tu bhi to ab badal ja
Ye waqt hai sambhal ja
Rokega kaun tujhako
Ek teer ban ke chal ja
Main dil ka saaz chhedoon
Tu sukh ke geet ga le
Ansoon bahane wale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale.
No comments :
Post a Comment