lyrics of hindi bollywoood songs

Sunday, 19 August 2018

Ab Tere Dil Mein Lyrics - Aarzoo (1999)

No comments :




Movie/album: Aarzoo (1999)

Singers: Alka Yagnik, Kumar Sanu

Song Lyricists: Anand Bakshi

Music Composer: Anu Malik

Music Director: Anu Malik

Director: Lawrence D'Souza

Music Label: Saregama

Starring: Akshay Kumar, Madhuri Dixit, Saif Ali Khan, Paresh Rawal, Amrish Puri

Release on: 19th March, 1999


Ab Tere Dil Mein Song Lyrics


Ab tere dil mein hum aagaye to
Tere dil mein rahenge to
Tujhe apna kahenge jhootha aaa
Kasam ki kasam hum tere hain hum
Baat meri maan jhoothe nahi hum

Dil hai dil dil dil hai ye mera
To to to to to
Tera ghar ye nahi hai
To to to to to
Jagah khaali nahi hai jhoothi aaa
Kasam ki kasam hum tere hain hum
Baat meri maan jhoothe nahi hum to
Ab tere dil mein hum aagaye to
Tere dil mein rahenge to
Tujhe apna kahenge jhootha aaa

Agar tu kahe to tere naam likh doon
Agar tu kahe to tere naam likh doon
Main apne hazaaron janam
Wahan apni dhadkan bichha doon jahan tu
Meri jaan rakhe kadam

Teri dhadkane hain dhadakti hai dhadke
Teri dhadkane hain dhadakti hai dhadke
Dil is mein mera kya karen
Tera dil hai ghayal deewana hai paagal
Jo marta hai mujhpe mare
Tu na mili marjaaounga sanam
To to to to to
Jaan jayegi meri
To to to to to
Zindagi tu hai meri jhootha aaa
Kasam ki kasam hum tere hain hum
Baat meri maan jhoothe nahi hum
Ab tere dil mein hum aagaye to
Tere dil mein rahenge to
Tujhe apna kahenge ummmm

Yeh hathon ki mehendi
Yeh aankhon ka kaajal
Yeh hathon ki mehendi
Yeh aankhon ka kaajal
Deewana kare kyun humein
Yehi arzoo hai ke ab zindagi bhar
Tujhe dekhte hi rahen

Yeh bindiya yeh mehendi
Yeh kaajal yeh aanchal
Yeh bindiya yeh mehendi
Yeh kaajal yeh aanchal
Tere vaaste to nahi
Tu deewana paagal hai thoda anadi hai
Ja ja re ja tu kahin
Dil mein teri tasveer hai jhoothe nahi
To to to to to
Teri pooja karenge
To to to to to
Haan tujhe dekha karenge jhootha aaa
Kasam ki kasam hum tere hain hum
Baat meri maan jhoothe nahi hum
Ab tere dil mein hum aagaye to
Tere dil mein rahenge to
Tujhe apna kahenge ummmm

Tujhe chahate they tujhe chahaten hain
Tujhe chahate they tujhe chahaten hain
Tujhe chahate hi rahenge
Dil jo hai tera sanam ghar hai mera
Yahan aate jaate rahenge

Yeh bandhan ki dori bandhi hai tumhi se
Yeh bandhan ki dori bandhi hai tumhi se
Tumhi se hi bandhi rahegi
Tumhi se shuru hai yanhi khatm hogi
Dil ki kahani meri
Ek dujhe ke dil mein aagaye hum
Hum hum hum hum
Ek jab ho gaye hum
Hum hum hum hum
Kabhie hum na hon juda
Hmmm la la

Parbat udh jayenge saagar sookh jayenge
Tum humko bhool na paaoge
Hum tumko bhool na paayenge
Mat jaana mat jaana
Isi ka naam hai arzoo arzoo.


No comments :

Post a Comment