lyrics of hindi bollywoood songs

Friday, 23 November 2018

Ishq Ki Rangin Wadi Se Lyrics - Jhoola (1962)

No comments :




Movie/album: Jhoola (1962)

Singers: Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Song Lyricists: Rajendra Krishan

Music Composer: Salil Chowdhury

Music Director: Salil Chowdhury

Director: K. Shankar

Music Label: Saregama

Starring: Sunil Dutt, Rajendra Nath, Pran, Sulochana, Tun Tun, Manmohan, Vyjayantimala

Release on: 1st January, 1962


Ishq Ki Rangin Wadi Se Song Lyrics


Dur bahut aabadi se
Ishq ki rangin wadi se
Yeh kaun sada deta hai
Pyar bhara ik dil hoga
Ya koyi bismil hoga
Jo apna pata deta hai

Dur bahut aabadi se
Ishq ki rangin wadi se
Yeh kaun sada deta hai
Pyar bhara ik dil hoga
Ya koyi bismil hoga
Jo apna pata deta hai



Lehrati si yeh raahe
Na jane kisko chaahe
Lehrati si yeh raahe
Na jane kisko chaahe
Kiske didar ki pyasi
Hain inaki khuli nigaahe
Kiske didar ki pyasi
Hain inaki khuli nigaahe
Aas lagaye baithe rehana
Bhi toh maja deta hai
Dur bahut aabadi se
Ishq ki rangin wadi se
Yeh kaun sada deta hai
Pyar bhara ik dil hoga
Ya koyi bismil hoga
Jo apna pata deta hai

Yeh parabat unche unche
Kamoshi ke afasane
Yeh parabat unche unche
Kamoshi ke afasane
Kyun dur khade basti se
Honge yeh bhi diwane
Kyun dur khade basti se
Honge yeh bhi diwane
Jane kis kisko deewana
Pyar bana deta hai

Dur bahut aabadi se
Ishq ki rangin wadi se
Yeh kaun sada deta hai
Pyar bhara ik dil hoga
Ya koyi bismil hoga
Jo apna pata deta hai.


No comments :

Post a Comment