lyrics of hindi bollywoood songs

Sunday 18 November 2018

Mora piya pakistani drama OST lyrics

No comments :

Mora piya pakistani drama lyrics

akelepan se mere dil ka sheher soona tha
na jaane kon si manzil thi jis ko choona tha
naina haste rahe


raina dhalti rahi
saaye bante rahe
saans chalti rahi
sookhe sawan ki boondo ne nehla diya
phir bhi pyase ka pyasa hai mora piya
mora piya...
mora piya...
iss ujale me bhi dhundli tasveer hai
inn sitaro ki lo apni takdeer hai
kaisi qurbat thi wo jisne tanha kiya
saath mere akela hai mora piya
mora piya...
mora piya...
jalta bujhta hua
ye jo sanjog hai
abb yahi hai khushi abb yahi rog hai
kaise chena mile kaise lage jiya
reza reza pighalta hai mora piya
mora piya... mora mora mora piya...


No comments :

Post a Comment