Wednesday, 5 December 2018
Ek Padosi Lyrics - Aasha (1957)
Movie/album: Aasha (1957)
Singers: Kishore Kumar
Song Lyricists: Rajendra Krishan
Music Composer: Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Music Director: Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Director: M.V. Raman
Music Label: Saregama
Starring: Kishore Kumar, Vyjayanthimala, Pran, Om Prakash
Release on: 1st January, 1957
Ek Padosi Song Lyrics
Are chhote aur bade ka
Ab to hu aa purana kissa
Are duniya ki jaagir hai sab
Ka ek barabar hissa
Ek padosi raat ko
Soye aur dusara roye
To insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Are kaho agar isaan kisi
Ki raah me kante boye
To insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Banaya maalik ne sab
Ke liye hai chaand sitaaro ko
To phir kya haq hai
To phir kya haq hai bade
Ko kare taqasim bahaaro ko
Kare taqasim bahaaro ko
Jag ke baag bagiche par
Jab ek ka kabja hoye
To insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Banaa hai shaah khazaane
Ka ye hai isaan ki nadani
Bata o kitna kha lega
Bata o kitna kha lega
Ye dana aur hawa paani
Ye dana aur hawa paani
Are paise jaisi chiz ki khatir
Koi sharaafat khoye
To insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Sabhi ek daal ke panchhi
Hai sabhi ka ek thikana hai
Laga o ek saath
Laga o ek saath nara ki ye
Janta ka zamana hai
Ye janta ka zamana hai
Ko i kisi ka bij chura
Kar apani kheti boye
To insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Ek padosi raat ko
Soye aur dusara roye
To insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai
Ye insaaf kahan ka hai.
No comments :
Post a Comment