Wednesday, 6 March 2019
Sunaaun Kya Main Lyrics - Andaz (1949)
Movie/album: Andaz (1949)
Singers: Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Song Lyricists: Majrooh Sultanpuri
Music Composer: Naushad Ali
Music Director: Naushad Ali
Director: Mehboob Khan
Music Label: Saregama
Starring: Dilip Kumar, Raj Kapoor, Nargis
Sunaaun Kya Main Song Lyrics
Sunaaun kya main gham apna
Zubaan tak laa nahi sakta
Jo gaanaa chaahataa hai
Dil wohi main gaa nahi sakta
Wohi main gaa nahi sakta
Sunaaun kya
Mile hai gair se hans kar
Wo mere saamane haaye
Wo mere saamane haaye
Lagi hai thes wo dil par
Ke main batalaa nahi sakta
Ki main batalaa nahi sakta
Sunaaun kya main gham apna
Zubaan tak laa nahi sakta
Sunaaun kya
Meri hasarat bhari nazaro
Ko ab tak jo nahi samajhaa
Use main dard e dil apna
Kabhi samajhaa nahi sakta
Kabhi samajhaa nahi sakta
Sunaaun kya main gham
Apna zubaan tak laa nahi sakta
Sunaaun kya
Sivaa tere bahut hai husn
Waale bhi zamaane mein
Husn waale bhi zamaane mein
Magar mushkil ye hai
Ab dil kisi par aa nahi sakta
Kisi par aa nahi sakta
Sunaaun kya main gham
Apna zubaan tak laa nahi sakta
Sunaaun kya.
No comments :
Post a Comment