lyrics of hindi bollywoood songs

Wednesday, 3 April 2019

Tum Besahara Ho Lyrics - Anurodh (1977)

No comments :

Tum Besahara Ho Lyrics - Anurodh (1977)


Movie/album: Anurodh (1977)

Singers: Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Song Lyricists: Anand Bakshi

Music Composer: Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Music Director: Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Director: Shakti Samanta

Music Label: Saregama

Starring: Rajesh Khanna, Simple Kapadia, Vinod Mehra, Ashok Kumar, Nirupa Roy, Asrani, Preeti Ganguly, Dina Phathak, Utpal Dutt

Release on: 31st January, 1977


Tum Besahara Ho Song Lyrics


Tum besahara ho toh
Kisi kaa sahara bano
Tum ko apne aap hi
Sahara mil jayega
Kashti koyi dubati
Pahuncha do kinare pe
Tum ko apne aap hi
Kinara mil jayega
Tum besahara ho toh
Kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh

Hans kar jinda rehna padta
Hai apna dukh khud
Sehna padta hai
Rasta chahe kitna lamba ho
Dariya ko toh behna padta hai
Tum ho ek akele toh
Ruk mat jao chalo niklo
Raste me koyi sathi
Tumhara mil jayega
Tum besahara ho toh
Kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh

Naa basti me naa virano me
Naa kheto me naa khalihano me
Naa milta hai pyar bajaro
Me naa bikta hai chain dukano me
Dhundh rahe ho tum jis ko
Usako bahar mat dhundho
Mann ke andar dhundho
Pritam pyara mil jayega
Tum besahara ho toh
Kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh.


No comments :

Post a Comment